Phonepe Kyc Kaise Kare

Phonepe Kyc Kaise Kare करे घर बैठे मिनटों में October-2024

Aaj hum Internet ke zamane mein hain jahaan Online Wallet zyada istemaal mein aa rahi hai. Aise mein ek Popular Phonepe KYC kaise kare aaj ki is post mein, jaanege aur saath hi is Application se sambandhit aapke bahut se sawaal yahan poore ho jayenge.

Online Wallet aise bahut se hain lekin PhonePe ek Popular App hai jahaan aapko UPI ka section bhi dikhaya jaata hai. Badhate online transactions ko dekhte hue RBI ne sabhi wallet upbhokta ko KYC karne ka nirdesh diya.

PhonePe KYC kya hai?

Aaiye pehle jaane PhonePe KYC kya hai. Jab aap kisi bhi tarah ka financial len-den karte hain, chahe wo khareed ho ya bechne, un sabhi len-den ka hisaab Bharat sarkar ke paas hona chahiye, ye anivarya hai, aur sabhi len-den aapke PAN number ke zariye track kiya jaata hai.

Isliye jab aap PhonePe wallet istemal karte hain to uske istemal se pehle aapko apna PAN daal kar app aur sarkar ko batana padta hai ki is number se wallet aap istemal kar rahe hain.

PhonePe KYC kyun zaroori hai?

Ab baat aati hai ki PhonePe KYC kyun zaroori hai, kyun ki bina KYC ke bhi toh hum wallet istemal kar sakte hain. Agar aap KYC nahi karte hain to aapke us online wallet mein bahut si limitations hoti hain, jaise aap ek din 5000 se adhik ka len-den nahi kar sakte.

Iske alawa aap wallet se paisa apne account mein nahi bhej sakte hain, pure saal mein aap 1 lakh se zyada ka len-den nahi kar sakte hain. Isliye KYC karna anivarya hai taaki aap wallet service ko acche se istemal kar sake.

PhonePe KYC ke fayde

Aaiye ek nazar daale PhonePe KYC ke fayde kya kya hain:

  • Aap pure saal mein unlimited len-den kar sakte hain.
  • Ek din aap 20,000 tak len-den kar sakte hain.
  • Online khareedari kar sakte hain.
  • Recharge aur bahut si suvidha wallet se istemal kar sakte hain.
  • Wallet se paisa account mein bhej sakte hain.
  • Wallet akasmad kabhi bhi band nahi hoga.
  • Reward aur discount ka aanand le sakte hain.

PhonePe KYC kaise kare?

Phonepe KYC kasie kare, ye janany key lie nichay gae mehtod ko follow karain

  • Apne wallet mein pehle apne number se login kare.
  • Ab aapko wallet ke screen par KYC karne ka option dikhega.
  • UPI transaction ke liye apna account number jode (vahi number dale jo bank account aur Aadhaar se link ho).
  • KYC wale section par jake Aadhaar verify kariye.
  • Iske baad aapko apne PAN number bhi dalna hoga.
  • Aapke wallet ka half KYC poora hua ab aap len-den kar sakte hain.

Aapka phone pe half KYC poora hua, aap apne wallet se apne account mein paise bhejne ke alawa sabhi services ka aanand le sakte hain. Wallet se account transfer ke liye full KYC zaroori hai

Phone mein full KYC kaise kare?

Khate mein paisa bhejne ke liye aapko PhonePe Full KYC karwana hoga, aur iske liye aapke paas abhi koi vikalp nahi hoga, isliye kabhi bhi wallet mein paisa na maangaye, varna aapko us paisay ke liye recharge ya shopping jaise online sevayein karne padenge.

Agar aap phonepe unke customer service se Full KYC ke liye call karenge, toh jawab milega ki abhi yeh seva kuch metro shehro mein hi chalu hai, aapko apne shehar mein is seva ka labh lene ke liye intezaar karna hoga.

Phone mein KYC ki expiry kaise thik karein?

Sabse pehle, aapko samajhna hoga ki aapke phonepe KYC ka samay samapt nahi hota. Haan, kuch dinon ke baad aapko punah satyapan karna pad sakta hai, jise aap aasaani se ghar baithe apne dastavezon ko punah satyapit karke kar sakte hain.

Agar aapke phonepe ek Message aata hai ki KYC samapt ho gayi hai aur aapke paise maang rahe hain, to is par dhyan na dein. Ye sab dhokaadadi karne ke liye kaam karne wale farzi SMS hote hain, aap inpar dhyan na dein.

Hamane kya sikha ?

Aaj is post mein humne sikha ki phonepe KYC kaise ki jati hai taaki hum is wallet ke zariye online len-den kar sakein. Umeed hai ki aapko yahan apke sawalon ke jawab mil gaye hain, agar aapke aur koi sawal hain toh kripya karke likhein.

Ashaa hai ki aapko yeh jaankari pasand aayi hogi aur aap zarur ise apne doston ke saath share karenge. Naye updates ke liye aap blog ko muft mein subscribe kar sakte hain. Dhanyavaad sabhi ko!

Rate this post

Similar Posts

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *